/*As I ponder'd in silence: December 2012*/ Poetry Blog

Friday, December 7, 2012

Kam... ya zyada!

Kabhi pyaar bhare alfaaz kam pad jate hai
Aur kabhi ek pal ki bhi khamoshi bahot zyada

Sath chalte chalte raste chhote ho jate hai
Aur kabhi do kadamo ka fasla bhi bahot zyada

Tumhare chehre ki hasi hamesha kam lagti hai
Chahu main usko har bar bahot zyada

Leti hu main saanse kuch kam hi aaj kal
Har saans me tumhari yaadein basi bahot zyada


Maana Eid ka chand nikalta hai intezaar ke baad
Pura nahi, aadha sahi, chahu milte raho aur zyada

Dil se kitni bhi nikle, kam hi lagti hai duaye
Aur meri har dua me jo tum hi mil jao, to bahot zyada

Muje dekhti tumhari har nazar, chahti hai aur thoda zyada
Kabhi main lagu thodi kam, aur kabhi tum lago bahot zyada